Online paise kaise kamaye 2020 | AndroidTricksHindi786

Online paise kaise kamaye 2020 | AndroidTricksHindi786

 
Online Paise kaise kamaye ?
Online Paise kaise kamaye ?

Hello Guys Aaj Hm Baat krenge ke Online Paise kaise kamaye ja skte hain ??. Aise Kon se wo treeqe hain jinmein aap log online kehin pr bhi kbhi bhi kuch time aur mehnat kr ke acha paisa kama skte hain.

Agr Aap log koi student hain ya job krte hain ya part time mein koi job krna chahte hain ya phir aap koi kaam dhoond hi rhe hain to aap in kaamon mein se koi aik bhi start kr skte hain.

Aap in kaamon ko Online apne ghar pr baithe hi kr skte hain aur jb chahe aap tb kr skte hain ya jb apko time mile matlab ke apni marzi se kaam kr skte hain aap log online. To chalo Topic pr aate hain.

To Dosto Sb se Pehla Treeqe ke bare mein baat krte hain.

1. Blogging

G haan Dosto Blogging Online Paise Kamane ke liye aik bohut hi ziada acha treeqa hai. Blogging Aap kbhi bhi kehi pr bhi kr skte hain, to jante hain ke blogging kya hai aur isse kaise paise kamaye jaa skte hain ghar baith kr ?.

Blogging kya hai ?

Guys Simple Words mein Blogging hai ke Content Writing. Aap logon ko post likh kr publish krni hoti hai. Agr Aap log Likhne mein interested hain aur kuch acha likh skte hain to aap logon ko blogging start kr deni chahye.

Blogging se Paise kaise Kamaye ?

Waise to Blogging se kamane ke bohut sare raaste hain lekin uske liye zroori hai ke aap log kuch likho jo logon ko pasand aye aur usse unki help bhi ho aur unki problems ka solution bhi btao unhe guide kro jo apko aata hai. agr log aapke blog ko padhte hain use pasand krte hain to aap log google adsense se adds lga skte hain apne blog pr. aur ismein paise kmane ki koi limit nhi jitni ziada traffic utne hi ziada paise earn krenge aap log.

2. Affiliate Marketing

Affiliate Marketing Aaj ke waqt mein sb se acha treeqa hai paise kamane ka. Kyu ke Aaj ke waqt mein hr koi apni sari chizein ghar baith kr hi khreed rha hai matlab ke online khreed-o-farokht ka waqt hai. sb log bri bri websites amazon, flipkart aur aise aur bhi bohut sari websites hain jinse online shoping krte hain. aur aane wale waqt mein ye bohut tezi se aage brhe ga.

Affiliate Marketing kya hai ?

Jitni bhi Online E-Commerce Websites hoti hain wo Affiliate Program Provide krti hain, Aap log unmein Register kr skte hain. Apko us website ke products ko sale krna hota hai. jb aap log register kr ke login kr lete ho to aap log us website ke kisi bhi product ka link generate kr ke unhe sale kr skte hain.

Affiliate Marketing se Paise kese Kamaye ?


Jesa ke maine pehle hi apko bta dia hai ke apko product sale krna hota hai, lekin ab uske baad kya ?. wo website jb bhi aap koi product sale krte hain to wo website aap logon ko commision deti hai, jisse apki earning start hoti hai. jitne ziada aap products ko sale kr paoge utni hi ziada apki earning bhi hogi.

3. Youtube


Youtube aaj ke waqt mein aap log ache se jante hain ke kitna ziada famous hai. aur hr insan apna kafi waqt is pr bita rha hai roz log youtube pr kafi time bitate hain. yaha tk ke google ke baad agr log kuch bhi dhoondte hain to wo direct youtube pr jate hain aur search krte hain, isi liye youtube kafi acha zriya hai online paise kmane ka.

Youtube se Paise kaise kamaye ?


Aap logon ne youtube pr bohut sari videos dekhi hongi, aur abhi bhi dekhte hi honge. unmein se kuch funny hoti hain, kuch sad, kuch songs, kuch moveis, etc. lekin kia aap ne kbhi bhi ye socha hai ke jo log youtube pr videos upload krte hain aakhir unko kya faida hota hai youtube pr videos upload krne ka ?.

G haan guys aap logon ne dekha hoga ke videos mein adds aati rehti hain. videos ke start mein aur ab to videos ke bich mein bhi adds aati rehti hain.

jo log wo videos bnate hain aur phir adsense se adds apne youtube channel pr gate hain to un logo ko un adds ke paise milte hain.

Agr Apka koi bhi Question ho ya Koi bhi Problem ho to Aap log hmse Comments 
ke zriye puch skte hain.

Comments