Blog se paise kaise kamaye 5 behtreen treeqon se in hindi

Blog se paise kaise kamaye 5 behtreen treeqon se in hindi

blog se paise kaise kamaye
blog se paise kaise kamaye ??

Hello Guys Aaj hm Aap logon ko Blog ke bare mein btayenge ke Aap log Blog se kaise paise kama skte hain ?. Agr Aap Blogger hain ya phir Blogging start krna chah rhe hain to apko ye btata chalu ke paise kmane ke liye blogging aik bohut hi acha platform hai. jisse log lakhon rupees kama rhe hain.

Blogging Aj ke waqt mein Online Buisness mein aik top ka treeqa bn chuka hai jisse lakhon log kr rhe hain.

Blogging aur bhi ziada official bnta jaa rha hai online paise kamane ke liye. agr aap bhi aik blogger hain to aap log bhi online paise kama skte hain.
monthly ka 5k, 10k, 20k, 50k, 100k bs aap jitni mehnat krenge utne hi ziada paise kama skenge.

Blog se paise kamane ke 5 behtreen treeqe janiye hindi mein


Guys New Blogger jo Blog start krte hain aur khas kr Hindi/Urdu mein start krte hain unko ye confusion bohut rehta hai ke akhir wo hindi blog se kitne kama skenge ?. To wo tention na lein wo bs blogging start krein aur km se km 6 months wait krein aur phir adsense ke liye apply kr dein. 

phir aap khud jaan jayoge ke apko kb kya aur kaise krna hai.

1. Affiliate Marketin

Affiliate Marketing Blogging se paise kmane ka sb se behtreen aur top treeqon mein se aik hai. Affiliate Advertisements pr aap log 1 click ke 1$ se 50$ aur usse bhi uper earn kr skte ho. high pay affiliate program se aap log per click 100$ kama skte hain. lekin iske liye apke paas 5k se 10k pageviews daily hona chahye.

2. Adsense Advertisments

Affiliate ke baad Adsense aik behtreen treeqa hai Blog se paise kamane ke liye. Adsense khas kr Hindi/Urdu Bloggers ke liye best hai. Aur ek hindi blogger ke liye adsense affiliate advertisments se kehin ziada behter sabit huwa hai.

Adsense Google ka hi aik platform hai jiske zriye aap log apni websites pr adds lga skte hain. apne bohutr sari websites pr adds dekhe honge wo adsense ke hi ziada tr adds hote hain aur aap log wo adds apni website ya blog pr lga kr paise kama skte hain.

3. Online Courses

Aapne aksar dekha hoga ke kafi log Affiliate Marketing, Programming, Web Development, pr online apne courses bnate hain aur phir unhe online hi sell bhi krte hain aur hazaron log un courses ko buy bhi krte hain.

to aap jis chiz meibn mahir hain us ke courses bhi bna kr online apne blog pr promote krwa kr unhe sell kr skte hain.

agr aap log mahir nhi kisi chiz mein to aap logon ko aik mashwra dena chahunga ke apne aap ko kam z kam aik chiz pr mahir kr lein aur apni maharat bna lein us kaam pr feature mein bohut madad milegi apko usse.

4. Sponsorship

Agr aap ka Blog kafi ziada Popular ho gya hai aur daily ki kafi ziada traffic aati hai. to aap logon ko kuch bhi krne ki zrurat nhi sponsorship ke liye. Agr apke Blog pr kafi achi traffic ho to sponsors apko khud contact krte hain, apke blog pr advertisments ke liye jiske wo apko kafi ache paise dete hain.

5. Start Service

Agr apko Designing, Seo, Blogging, Photoshop, ke bare mein achi khasi knowledge hai to aap log apne blog pr self service start kr ke bhi achi khasi kamayi kr skte hain hai ghar bethe.

Example agr aap theme design kr skte hain to aap log per design 10$ tk le skte hain.

I Hope Aapko Read kr ke kuch new seekhne ko mila hoga aur apke doughts clear ho gye honge ke blog se paise kaise kamaye.

Comments