How to Speedup Windows 10

How to Speedup Windows 10

How to Speedup Windows 10
How to Speedup Windows 10

Asslam-o-Alaikum Guys

Aaj ki is post mein hm aap logon ko btayenge ke aap log windows computer ya pc ko kese speedup kr skte hain so let's start guys.


If your Android phone also works slow or your android in hanging then you can read exlusive guide on How to speed up android phone without any app?.

Manually Deleting Junk Files in Windows 10 for Speedup

Guys agr aap log windows ko speed krna chahte hain to sb se pehle faltu ke softwares jinhein aap use nhi krte aapne 1 2 baar use kiye hon aise software's ko windows se uninstall krein.

Guys phir windows+r dbaen computer ya phir laptop pr aur ye likhein 'prefetch' without qoutes phir enter press kr dein apke saamne aik new window open hogi jismein aapko bohut si files wagera dikhengi un sb files ko ctrl+a dba kr all files ko select kr lein aur unhe delete kr dein fikr mt krein isse apki personal files ko koi asar nhi hoga ye sb junk files hoti hain aur inhein delete krne se apki personal koi file delete nhi hogi.

guys phir windows+r dbaen aur ab likhein '%temp%' without qoutes aur enter dbaen ab phir aap logon ne ctrl+a se all files select kr ke delete krni hain.

guys wahan se delete krne ke baad aap log recycle bin ko bhi empty kr dein.

Tools to improve your Windows 10 PC Performance

CCleaner

Guys internet se aap logon ko ccleaner mil jayega ye aik bohut hi acha software hai isse aap log apni windows ko scan kr ke aur bhi temporary files wagera hoti hain unko aap log ccleaner ki madad se asani se clean kr skte hain.

ccleaner aapke system mein jitni bhi duplicate files wagera hoti hain unko dhoond kr delete krne mein bhi help krta hai.

ccleaner apke browser's ka data bhi fully clear aur clean krne mein madad krta hai.

isi liye aap log iska use lazmi krein apne windows pc wagera mein agr aap speedup krna chahte hain to.

ultra defragger

guys phir aap log windows ko defragment krein uske liye aap log internet se ultimate defragger download kr skte hain.

aur download krne ke baad install kr ke open krein aur apni c,d,e or etc drive ko defrag krein aur in sb ke baad aap log apne pc ko aik baar restart krein aur check krein apne windows pc ki speed ko.

guys i hope ke aap logon ko ye post mein kuch new janne ko mila hoga agr apko post achi lgi to ise apne friends ke sath bhi share kr dein aur facebook groups aur social media platforms pr bhi share kr dein.

guys agr apko koi bhi help chahye ya apka koi bhi question ho to aap log comments ke zriye hmse puch skte hain hm apko agle 48 hours mein reply krenge.

Comments