Fix Corrupted SD Card with cmd

Fix Corrupted SD Card with cmd

fix corrupted sdcard with cmd
fix corrupted sdcard with cmd
Asslam-o-Alaikum Guys

Aaj ki is post mein hm aap logon ko btayenge ke aap log corrupted sd card or memory card ko kese fix kr skte hain cmd se bina koi software install kiye.

guys sb se pehle aapka sdcard corrupted kyu ho jata hai?, chand ehm wajoohaat.

important reasons why sdcard is damaged

sdcard ko tb remove krna jb uski koi file system mein use ho rhi ho jese pictures videos etc.

sdcard ko tb remove krna jb aap pics dekh rhe ho.

sdcard ko hr kisi ke computer mein lga dena.

sdcard ko jb files sd mein ya sd card se copy ho rhi hon aur complete na huwi hon sd card nikal lena.

i hope ke aap logom ko maloom ho gya hoga ke aakhir kyu sdcards corrupted ho jate hain aur apko ab inhe protect bhi krna aa gya hoga simple hai guys jaise ke jo steps uper btaye gye hain inhe yaad rkhein aur aisi galti na krein dobara.

ab chalte hain ke sdcard ko fix kese krein?.

how to fix corrupted sdcard with cmd in hindi?

guys corrupted sdcard ko fix krne ke liye aap log cmd ka bhi use kr skte hain bs hmare steps ko follow krein.

sb se pehle corrupted sdcard ya usb ko pc ke sath connect krein.

cmd open krein.

phir 'diskpart' type krein without quotes aur enter press krein aur administration permission dein.

phir guys 'list disk' type krein aur enter press krein.

uske baad apni corrupted usb or sdcard ko select krein jese ke meri usb 1 hai sb ki 1 hi hogi lekin phir bhi confirm krna lazmi hai kyu ke nhi to apki puri hard bhi format ho jayegi.

ab type krein 'select disk 1' aur enter press krein.

ab type krein 'clean' aur enter press kr dein.

guys phir aap log type krein 'create partition primary' aur enter press kr dein.

uske baad type krein 'active' aur enter press kr dein.

phir last step mein guys type krein 'format fs=fat32' aur enter press kr dein ye kuch time lega ise complete hone dein.

uske baad exit ki command de kr exit ho jayen.

bs itna sa kaam tha aapka aur apka sdcard repair ho jayega through cmd no any software needed.

guys i hope ke aap logon ko ye post mein kuch new janne ko mila hoga agr apko post achi lgi to ise apne friends ke sath bhi share kr dein aur facebook groups aur social media platforms pr bhi share kr dein.

guys agr apko koi bhi help chahye ya apka koi bhi question ho to aap log comments ke zriye hmse puch skte hain hm apko agle 48 hours mein reply krenge.

Comments