WordPress vs Blogger what you should use?

WordPress vs Blogger what you should use?

Wordpress vs Blogger
Wordpress vs Blogger
Asslam-o-Alaikum Guys

Aaj ki is post mein hm aap logon ko btayenge ke aapke liye wordpress sehi rhegi ya blogger?.

Blogger

Guys sb se pehle baat krte hain blogger ke bare mein ke kia blogger apke sehi rhega ya time waste?.

guys sb se pehli baat blogger aik bohut hi bra platform hai jisko khud google control kr rha hai iska matlab ye hai ke blogger ki secuirty bhi kafi high hai aur ismein bohut sare features bhi hain.

blogger aik bohut hi simple aur asan sa platform hai jis pr aap logon ko apni website chlane ke liye itni tech ki bhi knowledge required nhi hai.

blogger pr aap log apni website ya blog ko free mein bhi bna kr use kr skte hain lekin usmein blogger apki site ke aage .com nhi .blogspot.com ki domain lgayega lekin phir bhi thik hai.

kyu ke agr aap logon le paas itne pese nhi hain ke aap log aik professional website bna kr us pr work start krein. han aap log new domain buy kr ke blogger ke sath connect bhi kr skte hain phir apki site ke aage .com hi lgega.

blogger pr work krne ke liye apko bohut ziada patience chahye aur bohut hi ziada hardworking bhi aur to aur blogger aapko fully customizing bhi fraham nhi krta aur kuch hi themes wagera milti hain apko ismein by default.

to iska matlab ye hai guys ke agr aap logon ke paas itne paise nhi hain ke aap log apni website pr lgaen to blogger hi aap logon ke liye aik best option hai baqi agr aap log new blogger hain to main aap logon ko suggest krna chahunga ke blogger use krein taa ke aapko maloom ho jaye ke blogging kaam kese krti hai iske liye apko bohut hi patience aur hardworking chahye.

Wordpress

Guys ab baat krte hain ke wordpress kia hai kesi hai, wordpress kis liye behter hai.

guys wordpress aik aisa software ya cms hai jisse ke aap log apni website ko bna kr fully customize kr ke logon tk pohuncha skte hain.

why wordpress is better than blogger?

guys wordpress behter kyu hai ? halake is pr website bnane ke liye aap logon ko domain aur hosting buy krna lazmi hai phir bhi ye behter kyu hai baqi sare cms platforms se?.

wo is liye kyu ke guys wordpress aap logon ko website fully customize krne ki permission deti hai.

wordpress pr apki websites bohut hi jald aur high rank mein hoti hain. wordpress pr work krne ke liye apke paas koi coding knowledge ki requirment nhi honi chahye wordpress pr work krna bohut hi ziada asan hai.

wordpress pr apko apki website ke liye beatifull responsive aur seo friendly themes mil jayengi.

wordpress pr work krne ke liye apke paas bohut saare plugins bhi available hain jinse wordpress pr work krna aur ziada asan ho jata hai.

kyu ke wordpress pr drag and drop kr ke bhi work kr skte hain isi liye sb log isi ko use krna prefer krte hain.

lekin wordpress ki kuch disadvantages bhi hain.

jese ke wordpress vulnerable hai iska matlab wordpress pr apki website hack ho skti hai kisi bhi waqt.

wordpress pr agr apko technical seo wagera ki itni knowledge nhi hai to apki website load hone mein bohut time legi jitni ziada images content utna hi ziada time lgega apki website ko load hone mein.

Guys agr apke paas itne paise hain ke aap domain aur hosting buy kr ke wordpress pr work kr skte hain aur aap wordpress ko secure krna bhi jaante hain to aap log wordpress pr hi work krein kyu ke apki website bohut jald rank hogi is pr.

Nhi to Aap log Blogger use kr skte hain agr apke paas itne paise nhi hain ya apko secure rkhna nhi aata wordpress ko, ya phir agr aap aik new blogger hain tb bhi aap log blogger hi use kr skte hain.

guys i hope ke aap logon ko ye post mein kuch new janne ko mila hoga agr apko post achi lgi to ise apne friends ke sath bhi share kr dein aur facebook groups aur social media platforms pr bhi share kr dein.

guys agr apko koi bhi help chahye ya apka koi bhi question ho to aap log comments ke zriye hmse puch skte hain hm apko agle 48 hours mein reply krenge.

Comments