How to get Temporary Emails in Hindi Complete Guide

How to get Temporary Emails in Hindi | AndroidTricksHindi786

Temporary Emails
Temporary Emails

Guys Aaj Hm Aap Logon ko Btayenge ke Temporary Emails kia hain, kahan kaam aate hain, inke benifits kia hain, aur inhein kese hasil kr skte hain free mein wo bhi unlimited.

Aur kuch Behtree Temporary Emails ki Websites ka bhi Btayege.
To bina time waste kiye topic start krte hain.


What are Temporary Emails in Hindi?


Guys to Temporary Emails Aakhir hain kia ?. ye bhi Emails hi hote hain jese gmail ki id, hotmail ki id, etc, inko bhi accounts ki confirmation ke liye use kia jata hai.

Where we use Temporary Emails in Hindi?


To Guys jesa ke maine pehle hi bta dia ke accounts ki confirmation ke liye inka use kia jata hai.

Matlab ke agr aap koi account bna rhe hain facebook pr aur account bnate waqt facebook pr apko number ya email lazmi dena hota hai, to kuch log apna real number ya email nhi dena chahte, wo log inka use krte hain, aur jo confirmation code hota hai wo temp emails ki websites pr apko mil jata hai aur wo code daal kr aap log login kr skte hain aur identity confirm kr skte hain.


What are the Benefits of Temporary Emails in Hindi?


  • Guys sb se pehla aur sb se bra Benefit Temporary Emails ka ye hai ke Aap log Apni Privacy ko Secure rakh skte ho thora bohut un websites ko apni real identity na de kr.
  • Doosra Faida iska ye hai ke isko bnae ke liye apko koi bhi number ya information nhi deni prti bs apko username wagera select krna hota hai aur apka temporary email ready ho jata hai.
  • Teesra Faida iska ye hai ke iska use kr ke aap log unlimited accounts ba skte hain kisi social media platform ke ya phir kuch aisi websites pr jo ke register krne ko kehti hain.
  • Fourth Faida iska ye hai ke ye apko sirf aik hi email nhi milega. Aap log jitne chahei utne Temp Emails Create Kr Skte hain.

How to Get Unlimited Temporary Emails in Hindi?

Guys Temporary Emails Hasil krne ke liye Google Open Krein aur search krein Yopmail ya phir niche diye gye link pr Click krein.
Click Here: Yopmail
Yopmail ki website pr jaa kr sirf apna name likhein aur apke name ka temporary email bn jayega.
ya phir niche diye gye screen shot ko follow kr ke bna lein.

Temporary Emails
Temporary Emails
Temporary Emails
Temporary Emails
Temporary Emails
Temporary Emails
Aur phir yahan se email copy kr ke confirm krne wali website pr daal dein.

Aur agr apko koi aur name se new ya phir aur new mails chahye to aap log new tab open krein aur phir unki website visit kr ke bna lein.

Best Websites to Get Temporary Emails in Hindi


Guys Temporary Emails Hasil krne ke liye Aap log Google bhi kr skte hain bohut sari websites mil jayengi aap logon ko.
Lekin ye kuch best websites bta rha hun inhe search kr ke bhi aap log use kr skte hain.

Guys I Hope Aap logon ko is Post mei kuch new jaankari mili hogi, aur apki knowledge mein izafa huwa hoga.
Agr aap logon ko koi bhi Question ho ya koi bhi Problem ho to Aap log Comments ke zriye mujh se puch skte hain guys.

Comments