Why You Should use Blogger Platform in Hindi | Blogger Advantages

Why You Should use Blogger in Hindi Complete Guide | AndroidTricksHindi786

 
Why You Should use Blogger
Why You Should use Blogger
Why You Should would wanna to use blogger over wordpress?.
Guys Agr koi bhi Apna Blog bnana chahta hai aur best platform chahta hai apne blog ke liye to ise complete read krein.

Kuch Logon ke paas piasa hota hai invest krne ke liye unke blogs pr aur kuch logon ke pas paisa ni hota unke blog pr invest krne ke liye, To wo log kia krte hain blog bnane ke liye free mein ??. 

Simply wo log Best Alternatives ko search krte hain jo wo log apne blog platform ke tor pr free use kr skein.

Sb se ziada Popular Blogging platform Wordpress.org hai to phir bhi log Blogger ko kyu search krte hain ?, Kyu ke wordpress.org ko use krne ke liye apko domain aur hosting buy krni hogi. jiska matlab hai apko paise lgane honge blogging start krne ke liye. Isi waja se log Blogger Platform Use krte hain kyu ke usmein na to apko koi domain aur hosting ki zroorat hoti hai.

Now Question is Why You Should use Blogger not Wordpress.org in Hindi

Ismein koi shaq nhi ke Wordpress.org better hai Blogger Platform se, Lekin ise free istemal nhi kia ja skta blogger ki trha. Wordpress ko istemal krne ke liye apke pas domain aur hosting ka hona lazmi hai. Lekin Blogger ke case mein kuch nhi chahye siwae aik gmail account ke aur ye free hai use krne ke liye 100%.

Agr Apke paas paisa nhi hai wordpress.org mein Blog start krne ke liye to blogger apke best hai.

Advantages of Using Blogger for your blog in Hindi

  • Ye Free hai use krne ke liye, ye blogspot.com ki domain ke sath milta hai mgr aap log apni custom domain bhi lga skte hain.
  • ye bohut asan hai use krne ke liye aur iska interface bhi bohut simple sa hai.
  • blogger google ka product hai jiska matlab hai ke future mein apko bohut sare features dekhne ko milenge ismein.
  • blog designing aik bohut bri problem hai unke liye jo code krna nhi jaante,
  • blogger apko bohut sari templates fraham krta hai jisse aap log blog designing ke colours, layouts etc change kr skte hain.
  • blogger bohut ziada popular hai apko blogger.com ki communities bre number pr internet, social media, facebook, twitter, youtube reddit etc pr dekhne ko milengi. 
  • blogger mein apko seo ke bare mein koi fikr krne ki zroorat ni blogger mein kuch settings hai seo ke liye jiska matlab hai ke ye automatic site ki seo kregi apko fikr krne ki zroorat nhi, bs apka work hoga ke aap apna hr content best se best likhein.
  • bohut bre number pr apko internet pr websites wagera mil jayengi jo apko blogger ki templates free mein fraham krti hain. Ap unhein download kr ke apne blog pr set kr skte hain aur blog ko design kr skte hain.
  • Apko hacking ke mutaliq bhi fikr krne ki koi zroorat nhi kyu ke apki website ya blog google ke hath mein hai.
  • blogger platform ka use kr ke aap online earn kr skte hain,(google adsense ke adds show kr ke) .

 Advantages of Blogger over Wordpress.org in Hindi

  • Wordpress.org free nhi hai use krne ke liye apko hosting aur domain buy krni hogi.
  • Wordpress.org apko apni website pr sb kuch customization krne deti hai apne mutabiq lekin ismein apke blog ki secuirty ki problem aati hai, matlab apka blog hack ho skta hai.

 Advantages of Blogger over Wordpress.com in Hindi

  • Wordpress.com bhi free hai use krne ke liye lekin earn krne ke liye ismein apko upgrade krne ki zroorat hogi matlab apko paise dene honge.
  • simple features apko wordpress.com mein dekhne ko milenge lekin ziada tr usefull features upgrade krne ke baad hi milte hain.
  • Wordpress.com ke plans hain iska matlab ke jitna high apka plan hoga utna high apko features fraham krenge lekin ye bohut ziada costly prta hai.
End mein Aap logon ko yehi mashwara dena chahuga ke agr aap log aik begginer hain to ap blogger pr hi word krein aur pehle in chizon ko smjhein phir agr aap ke paas paise hon to aap wordpress bhi use kr skte hain lekin usmein apko secuirty ka dheyaan rkhna prega kyu ke kisi bhi waqt apki website hack ho skti hai.

Comments